1 Samūel 5

filistiyoṅ meṅ ahd kā sandūq

1filistī allāh kā sandūq aban-azar se ashdūd shahar meṅ le gae. 2vahāṅ unhoṅ ne use apne devtā dajūn ke mandir meṅ but ke qarīb rakh diyā. 3agle din subah-savere jab ashdūd ke bāshinde mandir meṅ dāḵẖil hue to kyā dekhte haiṅ ki dajūn kā mujassmā muṅh ke bal rabb ke sandūq ke sāmne hī paṛā hai. unhoṅ ne dajūn ko uṭhā kar dubārā us kī jagah par khaṛā kiyā. 4lekin agle din jab subah-savere āe to dajūn dubārā muṅh ke bal rabb ke sandūq ke sāmne paṛā huā thā. lekin is martabā but kā sar aur hāth ṭūṭ kar dahalīz par paṛe the. sirf dhaṛ rah gayā thā. 5yahī vajah hai ki āj tak dajūn kā koī bhī pujārī yā mehamān ashdūd ke mandir kī dahalīz par qadam nahīṅ rakhtā.

6phir rabb ne ashdūd aur gird-o-navāh ke dīhātoṅ par saḵẖt dabāo ḍāl kar bāshindoṅ ko pareshān kar diyā. un meṅ achānak aziyatanāk phoṛoṅ kī vabā phail gaī. 7jab ashdūd ke logoṅ ne is kī vajah jān lī to vah bole, “lāzim hai ki isrāīl ke ḵẖudā kā sandūq hamāre pās na rahe. kyūṅki us kā ham par aur hamāre devtā dajūn par dabāo nāqābil-e-bardāsht hai.”

8unhoṅ ne tamām filistī hukmarānoṅ ko ikaṭṭhā karke pūchhā, “ham isrāīl ke ḵẖudā ke sandūq ke sāth kyā kareṅ?”

unhoṅ ne mashvrā diyā, “use jāt shahar meṅ le jāeṅ.” 9lekin jab ahd kā sandūq jāt meṅ chhoṛā gayā to rabb kā dabāo us shahar par bhī ā gayā. baṛī afrā-tafrī paidā huī, kyūṅki chhoṭoṅ se le kar baṛoṅ tak sab ko aziyatanāk phoṛe nikal āe. 10tab unhoṅ ne ahd kā sandūq āge aqrūn bhej diyā.

lekin sandūq abhī pahuṅchne vālā thā ki aqrūn ke bāshinde chīḵẖne lage, “vah isrāīl ke ḵẖudā kā sandūq hamāre pās lāe haiṅ tāki hameṅ halāk kar deṅ!” 11tamām filistī hukmarānoṅ ko dubārā bulāyā gayā, aur aqrūniyoṅ ne taqāzā kiyā ki sandūq ko shahar se dūr kiyā jāe. vah bole, “ise vahāṅ vāpas bhejā jāe jahāṅ se āyā hai, varnā yah hameṅ balki pūrī qaum ko halāk kar ḍālegā.” kyūṅki shahar par rabb kā saḵẖt dabāo hāvī ho gayā thā. muhalak vabā ke bāis us meṅ ḵẖauf-o-hirās kī lahar dauṛ gaī. 12jo marne se bachā use kam az kam phoṛe nikal āe. chāroṅ taraf logoṅ kī chīḵẖ-pukār fizā meṅ buland huī.