1 Samūel 7

1yah sun kar qiryat-yārīm ke mard āe aur rabb kā sandūq apne shahar meṅ le gae. vahāṅ unhoṅ ne use abīndāb ke ghar meṅ rakh diyā jo pahāṛī par thā. abīndāb ke beṭe ilīazar ko maḵẖsūs kiyā gayā tāki vah ahd ke sandūq kī paharādārī kare.

taubā kī vajah se isrāīlī filistiyoṅ par fatah pāte haiṅ

2ahd kā sandūq 20 sāl ke tavīl arse tak qiryat-yārīm meṅ paṛā rahā. is daurān tamām isrāīl mātam kartā rahā, kyūṅki lagtā thā ki rabb ne unheṅ tark kar diyā hai. 3phir samūel ne tamām isrāīliyoṅ se kahā, “agar āp vāqaī rabb ke pās vāpas ānā chāhate haiṅ to ajnabī mābūdoṅ aur astārāt devī ke but dūr kar deṅ. pūre dil ke sāth rabb ke tābe ho kar usī kī ḵẖidmat kareṅ. phir hī vah āp ko filistiyoṅ se bachāegā.”

4isrāīliyoṅ ne us kī bāt mān lī. vah bāl aur astārāt ke butoṅ ko phaiṅk kar sirf rabb kī ḵẖidmat karne lage. 5tab samūel ne elān kiyā, “pūre isrāīl ko misfāh meṅ jamā kareṅ to maiṅ vahāṅ rabb se duā karke āp kī sifārish karūṅgā.” 6chunāṅche vah sab misfāh meṅ jamā hue. taubā kā izhār karke unhoṅ ne kueṅ se pānī nikāl kar rabb ke huzūr uṅḍel diyā. sāth sāth unhoṅ ne pūrā din rozā rakhā aur iqrār kiyā, “ham ne rabb kā gunāh kiyā hai.” vahāṅ misfāh meṅ samūel ne isrāīliyoṅ ke liye kachaharī lagāī.

7filistī hukmarānoṅ ko patā chalā ki isrāīlī misfāh meṅ jamā hue haiṅ to vah un se laṛne ke liye āe. yah sun kar isrāīlī saḵẖt ghabrā gae 8aur samūel se minnat kī, “duā karte raheṅ! rabb hamāre ḵẖudā se iltimās karne se na rukeṅ tāki vah hameṅ filistiyoṅ se bachāe.” 9tab samūel ne bheṛ kā dūdh pītā bacchā chun kar rabb ko bhasm hone vālī qurbānī ke taur par pesh kiyā. sāth sāth vah rabb se iltimās kartā rahā.

aur rabb ne us kī sunī. 10samūel abhī qurbānī pesh kar rahā thā ki filistī vahāṅ pahuṅch kar isrāīliyoṅ par hamlā karne ke liye tayyār hue. lekin us din rabb ne zor se kaṛaktī huī āvāz se filistiyoṅ ko itnā dahshatzadā kar diyā ki vah darham-barham ho gae aur isrāīlī āsānī se unheṅ shikast de sake. 11isrāīliyoṅ ne misfāh se nikal kar bait-kār ke nīche tak dushman kā tāqqub kiyā. rāste meṅ bahut se filistī halāk hue.

12is fatah kī yād meṅ samūel ne misfāh aur shen ke darmiyān ek baṛā patthar nasab kar diyā. us ne patthar kā nām aban-azar yānī ‘madad kā patthar’ rakhā. kyūṅki us ne kahā, “yahāṅ tak rabb ne hamārī madad kī hai.” 13is tarah filistiyoṅ ko maġlūb kiyā gayā, aur vah dubārā isrāīl ke ilāqe meṅ na ghuse. jab tak samūel jītā rahā filistiyoṅ par rabb kā saḵẖt dabāo rahā. 14aur aqrūn se le kar jāt tak jitnī isrāīlī ābādiyāṅ filistiyoṅ ke hāth meṅ ā gaī thīṅ vah sab un kī zamīnoṅ samet dubārā isrāīl ke qabze meṅ ā gaīṅ. amoriyoṅ ke sāth bhī sulah ho gaī.

15samūel apne jīte jī isrāīl kā qāzī aur rāhanumā rahā. 16har sāl vah bait-el, jiljāl aur misfāh kā daurā kartā, kyūṅki in tīn jagahoṅ par vah isrāīliyoṅ ke liye kachaharī lagāyā kartā thā. 17is ke bād vah dubārā rāmā apne ghar vāpas ā jātā jahāṅ mustaqil kachaharī thī. vahāṅ us ne rabb ke liye qurbāngāh bhī banāī thī.