Kuzāt 10
tolā aur yāīr
1abīmlik kī maut ke bād tolā bin fuvvā bin dodo isrāīl ko bachāne ke liye uṭhā. vah ishkār ke qabīle se thā aur ifrāīm ke pahāṛī ilāqe ke shahar samīr meṅ rihāishpazīr thā. 2tolā 23 sāl isrāīl kā qāzī rahā. phir vah faut huā aur samīr meṅ dafnāyā gayā.
3us ke bād jiliād kā rahane vālā yāīr qāzī ban gayā. us ne 22 sāl isrāīl kī rāhanumāī kī. 4yāīr ke 30 beṭe the. har beṭe kā ek ek gadhā aur jiliād meṅ ek ek ābādī thī. āj tak in kā nām ‘havvot-yāīr’ yānī yāīr kī bastiyāṅ hai. 5jab yāīr intiqāl kar gayā to use qāmon meṅ dafnāyā gayā.
isrāīl dubārā rabb se dūr ho jātā hai
6yāīr kī maut ke bād isrāīlī dubārā aisī harkateṅ karne lage jo rabb ko burī lagīṅ. vah kaī devtāoṅ ke pīchhe lag gae jin meṅ bāl devtā, astārāt devī aur shām, saidā, moāb, ammoniyoṅ aur filistiyoṅ ke devtā shāmil the. yūṅ vah rabb kī parastish aur ḵẖidmat karne se bāz āe. 7tab us kā ġazab un par nāzil huā, aur us ne unheṅ filistiyoṅ aur ammoniyoṅ ke havāle kar diyā. 8usī sāl ke daurān in qaumoṅ ne jiliād meṅ isrāīliyoṅ ke us ilāqe par qabzā kiyā jis meṅ purāne zamāne meṅ amorī ābād the aur jo daryā-e-yardan ke mashriq meṅ thā. filistī aur ammonī 18 sāl tak isrāīliyoṅ ko kuchalte aur dabāte rahe. 9na sirf yah balki ammoniyoṅ ne daryā-e-yardan ko pār karke yahūdāh, binyamīn aur ifrāīm ke qabīloṅ par bhī hamlā kiyā.
jab isrāīlī baṛī musībat meṅ the 10to āḵẖirkār unhoṅ ne madad ke liye rabb ko pukārā aur iqrār kiyā, “ham ne terā gunāh kiyā hai. apne ḵẖudā ko tark karke ham ne bāl ke butoṅ kī pūjā kī hai.” 11rabb ne javāb meṅ kahā, “jab misrī, amorī, ammonī, filistī, 12saidānī, amālīqī aur māonī tum par zulm karte the aur tum madad ke liye mujhe pukārne lage to kyā maiṅ ne tumheṅ na bachāyā? 13is ke bāvujūd tum bār bār mujhe tark karke dīgar mābūdoṅ kī pūjā karte rahe ho. is liye ab se maiṅ tumhārī madad nahīṅ karūṅgā. 14jāo, un devtāoṅ ke sāmne chīḵẖte chillāte raho jinheṅ tum ne chun liyā hai! vahī tumheṅ musībat se nikāleṅ.”
15lekin isrāīliyoṅ ne rabb se faryād kī, “ham se ġaltī huī hai. jo kuchh bhī tū munāsib samajhtā hai vah hamāre sāth kar. lekin tū hī hameṅ āj bachā.” 16vah ajnabī mābūdoṅ ko apne bīch meṅ se nikāl kar rabb kī dubārā ḵẖidmat karne lage. tab vah isrāīl kā dukh bardāsht na kar sakā.
iftāh qāzī ban jātā hai
17un dinoṅ meṅ ammonī apne faujiyoṅ ko jamā karke jiliād meṅ ḵẖaimāzan hue. javāb meṅ isrāīlī bhī jamā hue aur misfāh meṅ apne ḵẖaime lagāe. 18jiliād ke rāhanumāoṅ ne elān kiyā, “hameṅ aise ādmī kī zarūrat hai jo hamāre āge chal kar ammoniyoṅ par hamlā kare. jo koī aisā kare vah jiliād ke tamām bāshindoṅ kā sardār banegā.”