Kuzāt 11
1us vaqt jiliād meṅ ek zabardast sūrmā banām iftāh thā. bāp kā nām jiliād thā jabki māṅ kasbī thī. 2lekin bāp kī bīvī ke beṭe bhī the. jab bāliġ hue to unhoṅ ne iftāh se kahā, “ham mīrās tere sāth nahīṅ bāṅṭeṅge, kyūṅki tū hamārā sagā bhāī nahīṅ hai.” unhoṅ ne use bhagā diyā, 3aur vah vahāṅ se hijrat karke mulk-e-tob meṅ jā basā. vahāṅ kuchh āvārā log us ke pīchhe ho liye jo us ke sāth idhar udhar ghūmte phirte rahe.
4jab kuchh der ke bād ammonī fauj isrāīl se laṛne āī 5to jiliād ke buzurg iftāh ko vāpas lāne ke liye mulk-e-tob meṅ āe. 6unhoṅ ne guzārish kī, “āeṅ, ammoniyoṅ se laṛne meṅ hamārī rāhanumāī kareṅ.” 7lekin iftāh ne etirāz kiyā, “āp is vaqt mere pās kyūṅ āe haiṅ jab musībat meṅ haiṅ? āp hī ne mujh se nafrat karke mujhe bāp ke ghar se nikāl diyā thā.”
8buzurgoṅ ne javāb diyā, “ham is liye āp ke pās vāpas āe haiṅ ki āp ammoniyoṅ ke sāth jaṅg meṅ hamārī madad kareṅ. agar āp aisā kareṅ to ham āp ko pūre jiliād kā hukmarān banā leṅge.” 9iftāh ne pūchhā, “agar maiṅ āp ke sāth ammoniyoṅ ke ḵẖilāf laṛoṅ aur rabb mujhe un par fatah de to kyā āp vāqaī mujhe apnā hukmarān banā leṅge?” 10unhoṅ ne javāb diyā, “rabb hamārā gavāh hai! vahī hameṅ sazā de agar ham apnā vādā pūrā na kareṅ.”
11yah sun kar iftāh jiliād ke buzurgoṅ ke sāth misfāh gayā. vahāṅ logoṅ ne use apnā sardār aur fauj kā kamāṅḍar banā liyā. misfāh meṅ us ne rabb ke huzūr vah tamām bāteṅ duharāīṅ jin kā faislā us ne buzurgoṅ ke sāth kiyā thā.
jaṅg se gurez karne kī koshish
12phir iftāh ne ammonī bādshāh ke pās apne qāsidoṅ ko bhej kar pūchhā, “hamārā āp se kyā vāstā ki āp ham se laṛne āe haiṅ?” 13bādshāh ne javāb diyā, “jab isrāīlī misr se nikle to unhoṅ ne arnon, yabboq aur yardan ke daryāoṅ ke darmiyān kā ilāqā mujh se chhīn liyā. ab use jhagṛā kie baġair mujhe vāpas kar do.”
14phir iftāh ne apne qāsidoṅ ko dubārā ammonī bādshāh ke pās bhej kar 15kahā, “isrāīl ne na to moābiyoṅ se aur na ammoniyoṅ se zamīn chhīnī. 16haqīqat yah hai ki jab hamārī qaum misr se niklī to vah registān meṅ se guzar kar bahar-e-qulzum aur vahāṅ se ho kar qādis pahuṅch gaī. 17qādis se unhoṅ ne adom ke bādshāh ke pās qāsid bhej kar guzārish kī, ‘hameṅ apne mulk meṅ se guzarne deṅ.’ lekin us ne inkār kiyā. phir isrāīliyoṅ ne moāb ke bādshāh se daraḵẖwāst kī, lekin us ne bhī apne mulk meṅ se guzarne kī ijāzat na dī. is par hamārī qaum kuchh der ke liye qādis meṅ rahī. 18āḵẖirkār vah registān meṅ vāpas jā kar adom aur moāb ke junūb meṅ chalte chalte moāb ke mashriqī kināre par pahuṅchī, vahāṅ jahāṅ daryā-e-arnon us kī sarhadd hai. lekin vah moāb ke ilāqe meṅ dāḵẖil na hue balki daryā ke mashriq meṅ ḵẖaimāzan hue. 19vahāṅ se isrāīliyoṅ ne hasbon ke rahane vāle amorī bādshāh sīhon ko paiġām bhijvāyā, ‘hameṅ apne mulk meṅ se guzarne deṅ tāki ham apne mulk meṅ dāḵẖil ho sakeṅ.’ 20lekin sīhon ko shak huā. use yaqīn nahīṅ thā ki vah mulk meṅ se guzar kar āge baṛheṅge. us ne na sirf inkār kiyā balki apne faujiyoṅ ko jamā karke yahaz shahar meṅ ḵẖaimāzan huā aur isrāīliyoṅ ke sāth laṛne lagā.
21lekin rabb isrāīl ke ḵẖudā ne sīhon aur us ke tamām faujiyoṅ ko isrāīl ke havāle kar diyā. unhoṅ ne unheṅ shikast de kar amoriyoṅ ke pūre mulk par qabzā kar liyā. 22yah tamām ilāqā junūb meṅ daryā-e-arnon se le kar shimāl meṅ daryā-e-yabboq tak aur mashriq ke registān se le kar maġrib meṅ daryā-e-yardan tak hamāre qabze meṅ ā gayā. 23dekheṅ, rabb isrāīl ke ḵẖudā ne apnī qaum ke āge āge amoriyoṅ ko nikāl diyā hai. to phir āp kā is mulk par qabzā karne kā kyā haq hai? 24āp bhī samajhte haiṅ ki jise āp ke devtā kamos ne āp ke āge se nikāl diyā hai us ke mulk par qabzā karne kā āp kā haq hai. isī tarah jise rabb hamāre ḵẖudā ne hamāre āge āge nikāl diyā hai us ke mulk par qabzā karne kā haq hamārā hai. 25kyā āp apne āp ko moābī bādshāh balaq bin safor se behatar samajhte haiṅ? us ne to isrāīl se laṛne balki jhagaṛne tak kī himmat na kī. 26ab isrāīlī 300 sāl se hasbon aur aroīr ke shaharoṅ meṅ un ke gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet ābād haiṅ aur isī tarah daryā-e-arnon ke kināre par ke shaharoṅ meṅ. āp ne is daurān in jagahoṅ par qabzā kyūṅ na kiyā? 27chunāṅche maiṅ ne āp se ġalat sulūk nahīṅ kiyā balki āp hī mere sāth ġalat sulūk kar rahe haiṅ. kyūṅki mujh se jaṅg chheṛnā ġalat hai. rabb jo munsif hai vahī āj isrāīl aur ammon ke jhagṛe kā faislā kare!”
28lekin ammonī bādshāh ne iftāh ke paiġām par dhyān na diyā.
iftāh kī fatah
29phir rabb kā rūh iftāh par nāzil huā, aur vah jiliād aur manassī meṅ se guzar gayā, phir jiliād ke misfāh ke pās vāpas āyā. vahāṅ se vah apnī fauj le kar ammoniyoṅ se laṛne niklā.
30pahale us ne rabb ke sāmne qasam khāī, “agar tū mujhe ammoniyoṅ par fatah de 31aur maiṅ sahīh-salāmat lauṭaūṅ to jo kuchh bhī pahale mere ghar ke darvāze se nikal kar mujh se mile vah tere liye maḵẖsūs kiyā jāegā. maiṅ use bhasm hone vālī qurbānī ke taur par pesh karūṅgā.”
32phir iftāh ammoniyoṅ se laṛne gayā, aur rabb ne use un par fatah dī. 33iftāh ne aroīr meṅ dushman ko shikast dī aur isī tarah minnīt aur abīl-karāmīm tak mazīd bīs shaharoṅ par qabzā kar liyā. yūṅ isrāīl ne ammon ko zer kar diyā.
iftāh kī vāpsī
34is ke bād iftāh misfāh vāpas chalā gayā. vah abhī ghar ke qarīb thā ki us kī iklautī beṭī daf bajātī aur nāchtī huī ghar se nikal āī. iftāh kā koī aur beṭā yā beṭī nahīṅ thī. 35apnī beṭī ko dekh kar vah raṅj ke māre apne kapṛe phāṛ kar chīḵẖ uṭhā, “hāy merī beṭī! tū ne mujhe ḵẖāk meṅ dabā kar tabāh kar diyā hai, kyūṅki maiṅ ne rabb ke sāmne aisī qasam khāī hai jo badlī nahīṅ jā saktī.”
36beṭī ne kahā, “abbū, āp ne qasam khā kar rabb se vādā kiyā hai, is liye lāzim hai ki mere sāth vah kuchh kareṅ jis kī qasam āp ne khāī hai. āḵẖir usī ne āp ko dushman se badlā lene kī kāmyābī baḵẖsh dī hai. 37lekin merī ek guzārish hai. mujhe do māh kī muhalat deṅ tāki maiṅ apnī saheliyoṅ ke sāth pahāṛoṅ meṅ jā kar apnī ġairshādīshudā hālat par mātam karūṅ.”
38iftāh ne ijāzat dī. phir beṭī do māh ke liye apnī saheliyoṅ ke sāth pahāṛoṅ meṅ chalī gaī aur apnī ġairshādīshudā hālat par mātam kiyā. 39phir vah apne bāp ke pās vāpas āī, aur us ne apnī qasam kā vādā pūrā kiyā. beṭī ġairshādīshudā thī.
us vaqt se isrāīl meṅ dastūr rāij hai 40ki isrāīl kī javān aurteṅ sālānā chār din ke liye apne gharoṅ se nikal kar iftāh kī beṭī kī yād meṅ jashn manātī haiṅ.