Kuzāt 12

ifrāīm kā qabīlā iftāh par hamlā kartā hai

1ammoniyoṅ par fatah ke bād ifrāīm ke qabīle ke ādmī jamā hue aur daryā-e-yardan ko pār karke iftāh ke pās āe jo safon meṅ thā. unhoṅ ne shikāyat kī, “āp kyūṅ hameṅ bulāe baġair ammoniyoṅ se laṛne gae? ab ham āp ko āp ke ghar samet jalā deṅge!”

2iftāh ne etirāz kiyā, “jab merī aur merī qaum kā ammoniyoṅ ke sāth saḵẖt jhagṛā chhiṛ gayā to maiṅ ne āp ko bulāyā, lekin āp ne mujhe un ke hāth se na bachāyā. 3jab maiṅ ne dekhā ki āp madad nahīṅ kareṅge to apnī jān ḵẖatre meṅ ḍāl kar āp ke baġair hī ammoniyoṅ se laṛne gayā. aur rabb ne mujhe un par fatah baḵẖshī. ab mujhe batāeṅ ki āp kyūṅ mere pās ā kar mujh par hamlā karnā chāhate haiṅ?”

4ifrāīmiyoṅ ne javāb diyā, “tum jo jiliād meṅ rahate ho bas ifrāīm aur manassī ke qabīloṅ se nikle hue bhagoṛe ho.” tab iftāh ne jiliād ke mardoṅ ko jamā kiyā aur ifrāīmiyoṅ se laṛ kar unheṅ shikast dī.

5phir jiliādiyoṅ ne daryā-e-yardan ke kam-gahare maqāmoṅ par qabzā kar liyā. jab koī guzarnā chāhatā to vah pūchhte, “kyā āp ifrāīmī haiṅ?” agar vah inkār kartā 6to jiliād ke mard kahate, “to phir lafz ‘shibbolat’ [a] yānī nadī. boleṅ.” agar vah ifrāīmī hotā to is ke bajāy “sibbolat” kahatā. phir jiliādī use pakaṛ kar vahīṅ mār ḍālte. us vaqt kul 42,000 ifrāīmī halāk hue.

7iftāh ne chhah sāl isrāīl kī rāhanumāī kī. jab faut huā to use jiliād ke kisī shahar meṅ dafnāyā gayā.

ibzān, ailon aur abdon

8iftāh ke bād ibzān isrāīl kā qāzī banā. vah bait-laham meṅ ābād thā, 9aur us ke 30 beṭe aur 30 beṭiyāṅ thīṅ. us kī tamām beṭiyāṅ shādīshudā thīṅ aur is vajah se bāp ke ghar meṅ nahīṅ rahatī thīṅ. lekin use 30 beṭoṅ ke liye bīviyāṅ mil gaī thīṅ, aur sab us ke ghar meṅ rahate the. ibzān ne sāt sāl ke daurān isrāīl kī rāhanumāī kī. 10phir vah intiqāl kar gayā aur bait-laham meṅ dafnāyā gayā.

11us ke bād ailon qāzī banā. vah zabūlūn ke qabīle se thā aur 10 sāl ke daurān isrāīl kī rāhanumāī kartā rahā. 12jab vah kūch kar gayā to use zabūlūn ke ayyālon meṅ dafan kiyā gayā.

13phir abdon bin hillel qāzī banā. vah shahar fir’āton kā thā. 14us ke 40 beṭe aur 30 pote the jo 70 gadhoṅ par safar kiyā karte the. abdon ne āṭh sāl ke daurān isrāīl kī rāhanumāī kī. 15phir vah bhī jāṅ-ba-haq ho gayā, aur use amālīqiyoṅ ke pahāṛī ilāqe ke shahar fir’āton meṅ dafnāyā gayā, jo us vaqt ifrāīm kā hissā thā.

[a] yānī nadī.