Kuzāt 13
samsūn kī paidāish kī peshgoī
1phir isrāīlī dubārā aisī harkateṅ karne lage jo rabb ko burī lagīṅ. is liye us ne unheṅ filistiyoṅ ke havāle kar diyā jo unheṅ 40 sāl dabāte rahe. 2us vaqt ek ādmī sur’ā shahar meṅ rahatā thā jis kā nām manohā thā. dān ke qabīle kā yah ādmī beaulād thā, kyūṅki us kī bīvī bāṅjh thī.
3ek din rabb kā farishtā manohā kī bīvī par zāhir huā aur kahā, “go tujh se bacche paidā nahīṅ ho sakte, ab tū hāmilā hogī, aur tere beṭā paidā hogā. 4mai yā koī aur nashāāvar chīz mat pīnā, na koī nāpāk chīz khānā. 5kyūṅki jo beṭā paidā hogā vah paidāish se hī allāh ke liye maḵẖsūs hogā. lāzim hai ki us ke bāl kabhī na kāṭe jāeṅ. yahī bacchā isrāīl ko filistiyoṅ se bachāne lagegā.”
6bīvī apne shauhar manohā ke pās gaī aur use sab kuchh batāyā, “allāh kā ek bandā mere pās āyā. vah allāh kā farishtā lag rahā thā, yahāṅ tak ki maiṅ saḵẖt ghabrā gaī. maiṅ ne us se na pūchhā ki vah kahāṅ se hai, aur ḵẖud us ne mujhe apnā nām na batāyā. 7lekin us ne mujhe batāyā, ‘tū hāmilā hogī, aur tere beṭā paidā hogā. ab mai yā koī aur nashāāvar chīz mat pīnā, na koī nāpāk chīz khānā. kyūṅki beṭā paidāish se hī maut tak allāh ke liye maḵẖsūs hogā’.”
8yah sun kar manohā ne rabb se duā kī, “ai rabb, barāh-e-karam mard-e-ḵẖudā ko dubārā hamāre pās bhej tāki vah hameṅ sikhāe ki ham us beṭe ke sāth kyā kareṅ jo paidā hone vālā hai.” 9allāh ne us kī sunī aur apne farishte ko dubārā us kī bīvī ke pās bhej diyā. us vaqt vah shauhar ke baġair khet meṅ thī. 10farishte ko dekh kar vah jaldī se manohā ke pās āī aur use ittilā dī, “jo ādmī pichhle dinoṅ meṅ mere pās āyā vah dubārā mujh par zāhir huā hai!”
11manohā uṭh kar apnī bīvī ke pīchhe pīchhe farishte ke pās āyā. us ne pūchhā, “kyā āp vahī ādmī haiṅ jis ne pichhle dinoṅ meṅ merī bīvī se bāt kī thī?” farishte ne javāb diyā, “jī, maiṅ hī thā.” 12phir manohā ne savāl kiyā, “jab āp kī peshgoī pūrī ho jāegī to hameṅ beṭe ke tarz-e-zindagī aur sulūk ke silsile meṅ kin kin bātoṅ kā ḵẖayāl karnā hai?”
13rabb ke farishte ne javāb diyā, “lāzim hai ki terī bīvī un tamām chīzoṅ se parhez kare jin kā zikr maiṅ ne kiyā. 14vah aṅgūr kī koī bhī paidāvār na khāe. na vah mai, na koī aur nashāāvar chīz pie. nāpāk chīzeṅ khānā bhī manā hai. vah merī har hidāyat par amal kare.”
15manohā ne rabb ke farishte se guzārish kī, “meharbānī karke thoṛī der hamāre pās ṭhahareṅ tāki ham bakrī kā bacchā zabah karke āp ke liye khānā tayyār kar sakeṅ.” 16ab tak manohā ne yah bāt nahīṅ pahachānī thī ki mehamān asal meṅ rabb kā farishtā hai. farishte ne javāb diyā, “ḵẖwāh tū mujhe roke bhī maiṅ kuchh nahīṅ khāūṅgā. lekin agar tū kuchh karnā chāhe to bakrī kā bacchā rabb ko bhasm hone vālī qurbānī ke taur par pesh kar.”
17manohā ne us se pūchhā, “āp kā kyā nām hai? kyūṅki jab āp kī yah bāteṅ pūrī ho jāeṅgī to ham āp kī izzat karnā chāheṅge.” 18farishte ne savāl kiyā, “tū merā nām kyūṅ jānnā chāhatā hai? vah to terī samajh se bāhar hai.” 19phir manohā ne ek baṛe patthar par rabb ko bakrī kā bacchā aur ġallā kī nazar pesh kī. tab rabb ne manohā aur us kī bīvī ke dekhte dekhte ek hairat’aṅgez kām kiyā. 20jab āg ke shole āsmān kī taraf buland hue to rabb kā farishtā shole meṅ se ūpar chaṛh kar ojhal ho gayā. manohā aur us kī bīvī muṅh ke bal gir gae.
21jab rabb kā farishtā dubārā manohā aur us kī bīvī par zāhir na huā to manohā ko samajh āī ki rabb kā farishtā hī thā. 22vah pukār uṭhā, “hāy, ham mar jāeṅge, kyūṅki ham ne allāh ko dekhā hai!” 23lekin us kī bīvī ne etirāz kiyā, “agar rabb hameṅ mār ḍālnā chāhatā to vah hamārī qurbānī qabūl na kartā. phir na vah ham par yah sab kuchh zāhir kartā, na hameṅ aisī bāteṅ batātā.”
24kuchh der ke bād manohā ke hāṅ beṭā paidā huā. bīvī ne us kā nām samsūn rakhā. bacchā baṛā hotā gayā, aur rabb ne use barkat dī. 25allāh kā rūh pahalī bār mahane-dān meṅ jo sur’ā aur istāl ke darmiyān hai us par nāzil huā.