Kuzāt 15
samsūn filistiyoṅ se badlā letā hai
1kuchh din guzar gae. jab gandum kī kaṭāī hone lagī to samsūn bakrī kā bacchā apne sāth le kar apnī bīvī se milne gayā. susar ke ghar pahuṅch kar us ne bīvī ke kamre meṅ jāne kī daraḵẖwāst kī. lekin bāp ne inkār kiyā. 2us ne kahā, “yah nahīṅ ho saktā! maiṅ ne beṭī kī shādī āp ke shahabāle se karā dī hai. asal meṅ mujhe yaqīn ho gayā thā ki ab āp us se saḵẖt nafrat karte haiṅ. lekin koī bāt nahīṅ. us kī chhoṭī bahan se shādī kar leṅ. vah ziyādā ḵẖūbsūrat hai.”
3samsūn bolā, “is dafā maiṅ filistiyoṅ se ḵẖūb badlā lūṅgā, aur koī nahīṅ kah sakegā ki maiṅ haq par nahīṅ hūṅ.” 4vahāṅ se nikal kar us ne 300 lomṛiyoṅ ko pakaṛ liyā. do do kī dumoṅ ko bāṅdh kar us ne har joṛe kī dumoṅ ke sāth mash’al lagā dī 5aur phir mash’aloṅ ko jalā kar lomṛiyoṅ ko filistiyoṅ ke anāj ke khetoṅ meṅ bhagā diyā. khetoṅ meṅ paṛe pūle us anāj samet bhasm hue jo ab tak kāṭā nahīṅ gayā thā. aṅgūr aur zaitūn ke bāġ bhī tabāh ho gae.
6filistiyoṅ ne darayāft kiyā ki yah kis kā kām hai. patā chalā ki samsūn ne yah sab kuchh kiyā hai, aur ki vajah yah hai ki timnat meṅ us ke susar ne us kī bīvī ko us se chhīn kar us ke shahabāle ko de diyā hai. yah sun kar filistī timnat gae aur samsūn ke susar ko us kī beṭī samet pakaṛ kar jalā diyā. 7tab samsūn ne un se kahā, “yah tum ne kyā kiyā hai! jab tak maiṅ ne pūrā badlā na liyā maiṅ nahīṅ rukūṅgā.” 8vah itne zor se un par ṭūṭ paṛā ki beshumār filistī halāk hue. phir vah us jagah se utar kar aitām kī chaṭān ke ġār meṅ rahane lagā.
lahī meṅ samsūn filistiyoṅ se laṛtā hai
9javāb meṅ filistī fauj yahūdāh ke qabāilī ilāqe meṅ dāḵẖil huī. vahāṅ vah lahī shahar ke pās ḵẖaimāzan hue. 10yahūdāh ke bāshindoṅ ne pūchhā, “kyā vajah hai ki āp ham se laṛne āe haiṅ?” filistiyoṅ ne javāb diyā, “ham samsūn ko pakaṛne āe haiṅ tāki us ke sāth vah kuchh kareṅ jo us ne hamāre sāth kiyā hai.”
11tab yahūdāh ke 3,000 mard aitām pahāṛ ke ġār ke pās āe aur samsūn se kahā, “yah āp ne hamāre sāth kyā kiyā? āp ko to patā hai ki filistī ham par hukūmat karte haiṅ.” samsūn ne javāb diyā, “maiṅ ne un ke sāth sirf vah kuchh kiyā jo unhoṅ ne mere sāth kiyā thā.”
12yahūdāh ke mard bole, “ham āp ko bāṅdh kar filistiyoṅ ke havāle karne āe haiṅ.” samsūn ne kahā, “ṭhīk hai, lekin qasam khāeṅ ki āp ḵẖud mujhe qatl nahīṅ kareṅge.”
13unhoṅ ne javāb diyā, “ham āp ko hargiz qatl nahīṅ kareṅge balki āp ko sirf bāṅdh kar un ke havāle kar deṅge.” chunāṅche vah use do tāzā tāzā rassoṅ se bāṅdh kar filistiyoṅ ke pās le gae.
14samsūn abhī lahī se dūr thā ki filistī nāre lagāte hue us kī taraf dauṛe āe. tab rabb kā rūh baṛe zor se us par nāzil huā. us ke bāzūoṅ se baṅdhe hue rasse san ke jale hue dhāge jaise kamzor ho gae, aur vah pighal kar hāthoṅ se gir gae. 15kahīṅ se gadhe kā tāzā jabṛā pakaṛ kar us ne us ke zarīe hazār afrād ko mār ḍālā.
16us vaqt us ne nārā lagāyā, “gadhe ke jabṛe se maiṅ ne un ke ḍher lagāe haiṅ! gadhe ke jabṛe se maiṅ ne hazār mardoṅ ko mār ḍālā hai!” 17is ke bād us ne gadhe kā yah jabṛā phaiṅk diyā. us jagah kā nām rāmat-lahī yānī jabṛā pahāṛī paṛ gayā.
18samsūn ko vahāṅ baṛī piyās lagī. us ne rabb ko pukār kar kahā, “tū hī ne apne ḵẖādim ke hāth se isrāīl ko yah baṛī najāt dilāī hai. lekin ab maiṅ piyās se mar kar nāmaḵẖtūn dushman ke hāth meṅ ā jāūṅgā.” 19tab allāh ne lahī meṅ zamīn ko chhedā, aur gaṛhe se pānī phūṭ niklā. samsūn us kā pānī pī kar dubārā tāzādam ho gayā. yūṅ us chashme kā nām ain-haqqore yānī pukārne vāle kā chashmā paṛ gayā. āj bhī vah lahī meṅ maujūd hai.
20filistiyoṅ ke daur meṅ samsūn 20 sāl tak isrāīl kā qāzī rahā.