Kuzāt 17

mīkāh kā but

1ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ ek ādmī rahatā thā jis kā nām mīkāh thā. 2ek din us ne apnī māṅ se bāt kī, “āp ke chāṅdī ke 1,100 sikke chorī ho gae the, nā? us vaqt āp ne mere sāmne hī chor par lānat bhejī thī. ab dekheṅ, vah paise mere pās haiṅ. maiṅ hī chor hūṅ.” yah sun kar māṅ ne javāb diyā, “mere beṭe, rabb tujhe barkat de!” 3mīkāh ne use tamām paise vāpas kar die, aur māṅ ne elān kiyā, “ab se yah chāṅdī rabb ke liye maḵẖsūs ho! maiṅ āp ke liye tarāshā aur ḍhālā huā but banvā kar chāṅdī āp ko vāpas kar detī hūṅ.”

4chunāṅche jab beṭe ne paise vāpas kar die to māṅ ne us ke 200 sikke sunār ke pās le jā kar lakṛī kā tarāshā aur ḍhālā huā but banvāyā. mīkāh ne yah but apne ghar meṅ khaṛā kiyā, 5kyūṅki us kā apnā maqdis thā. us ne mazīd but aur ek afod [a] ām taur par ibrānī meṅ afod kā matlab imām-e-āzam kā bālāposh thā (dekhie ḵẖurūj 28:4), lekin yahāṅ is se murād butparastī kī koī chīz hai. bhī banvāyā aur phir ek beṭe ko apnā imām banā liyā. 6us zamāne meṅ isrāīl kā koī bādshāh nahīṅ thā balki har koī vahī kuchh kartā jo use durust lagtā thā.

7un dinoṅ meṅ lāvī ke qabīle kā ek javān ādmī yahūdāh ke qabīle ke shahar bait-laham meṅ ābād thā. 8ab vah shahar ko chhoṛ kar rihāish kī koī aur jagah talāsh karne lagā. ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ se safar karte karte vah mīkāh ke ghar pahuṅch gayā. 9mīkāh ne pūchhā, “āp kahāṅ se āe haiṅ?” javān ne javāb diyā, “maiṅ lāvī hūṅ. maiṅ yahūdāh ke shahar bait-laham kā rahane vālā hūṅ lekin rihāish kī kisī aur jagah kī talāsh meṅ hūṅ.”

10mīkāh bolā, “yahāṅ mere pās apnā ghar banā kar mere bāp aur imām baneṅ. tab āp ko sāl meṅ chāṅdī ke das sikke aur zarūrat ke mutābiq kapṛe aur ḵẖurāk milegī.”

11lāvī muttafiq huā. vah vahāṅ ābād huā, aur mīkāh ne us ke sāth beṭoṅ kā sā sulūk kiyā. 12us ne use imām muqarrar karke sochā, 13“ab rabb mujh par meharbānī karegā, kyūṅki lāvī merā imām ban gayā hai.”

[a] ām taur par ibrānī meṅ afod kā matlab imām-e-āzam kā bālāposh thā (dekhie ḵẖurūj 28:4), lekin yahāṅ is se murād butparastī kī koī chīz hai.