Kuzāt 5

daborā aur baraq kā gīt

1fatah ke din daborā ne baraq bin abīnūam ke sāth yah gīt gāyā,

2“allāh kī sitāish ho! kyūṅki isrāīl ke sardāroṅ ne rāhanumāī kī, aur avām nikalne ke liye tayyār hue.

3ai bādshāho, suno! ai hukmrāno, merī bāt par tavajjuh do! maiṅ rabb kī tamjīd meṅ gīt gāūṅgī, rabb isrāīl ke ḵẖudā kī madahsarāī karūṅgī.

4ai rabb, jab tū saīr se nikal āyā aur adom ke khule maidān se ravānā huā to zamīn kāṁp uṭhī aur āsmān se pānī ṭapakne lagā, bādloṅ se bārish barasne lagī.

5koh-e-sīnā ke rabb ke huzūr pahāṛ hilne lage, rabb isrāīl ke ḵẖudā ke sāmne vah kapkapāne lage.

6shamjar bin anāt aur yāel ke dinoṅ meṅ safar ke pakke aur sīdhe rāste ḵẖālī rahe aur musāfir un se haṭ kar bal khāte hue chhoṭe chhoṭe rāstoṅ par chal kar apnī manzil tak pahuṅchte the.

7dīhāt kī zindagī sūnī ho gaī. gāoṅ meṅ rahanā mushkil thā jab tak maiṅ, daborā jo isrāīl kī māṅ hūṅ khaṛī na huī.

8shahar ke darvāzoṅ par jaṅg chhiṛ gaī jab unhoṅ ne nae mābūdoṅ ko chun liyā. us vaqt isrāīl ke 40,000 mardoṅ ke pās ek bhī ḍhāl yā nezā na thā.

9merā dil isrāīl ke sardāroṅ ke sāth hai aur un ke sāth jo ḵẖushī se jaṅg ke liye nikle. rabb kī sitāish karo!

10ai tum jo safed gadhoṅ par kapṛe bichhā kar un par savār ho, allāh kī tamjīd karo! ai tum jo paidal chal rahe ho, allāh kī tārīf karo!

11suno! jahāṅ jānvaroṅ ko pānī pilāyā jātā hai vahāṅ log rabb ke najātabaḵẖsh kāmoṅ kī tārīf kar rahe haiṅ, un najātabaḵẖsh kāmoṅ kī jo us ne isrāīl ke dīhātiyoṅ kī ḵẖātir kie. tab rabb ke log shahar ke darvāzoṅ ke pās utar āe.

12ai daborā, uṭheṅ, uṭheṅ! uṭheṅ, hāṅ uṭheṅ aur gīt gāeṅ! ai baraq, khaṛe ho jāeṅ! ai abīnūam ke beṭe, apne qaidiyoṅ ko bāṅdh kar le jāeṅ!

13phir bache hue faujī pahāṛī ilāqe se utar kar qaum ke shurfā ke pās āe, rabb kī qaum sūrmāoṅ ke sāth mere pās utar āī.

14ifrāīm se jis kī jaṛeṅ amālīq meṅ haiṅ vah utar āe, aur binyamīn ke mard un ke pīchhe ho liye. makīr se hukmarān aur zabūlūn se sipahasālār utar āe.

15ishkār ke raīs bhī daborā ke sāth the, aur us ke faujī baraq ke pīchhe ho kar vādī meṅ dauṛ āe. lekin rūbin kā qabīlā apne ilāqe meṅ rah kar soch-bichār meṅ uljhā rahā.

16tū kyūṅ apne zīn ke do boroṅ ke darmiyān baiṭhā rahā? kyā galloṅ ke darmiyān charvāhoṅ kī bāṅsariyoṅ kī āvāzeṅ sunne ke liye? rūbin kā qabīlā apne ilāqe meṅ rah kar soch-bichār meṅ uljhā rahā.

17jiliād ke gharāne daryā-e-yardan ke mashriq meṅ ṭhahare rahe. aur dān kā qabīlā, vah kyūṅ baharī jahāzoṅ ke pās rahā? āshar kā qabīlā bhī sāhil par baiṭhā rahā, vah ārām se apnī bandaragāhoṅ ke pās ṭhaharā rahā,

18jabki zabūlūn aur naftālī apnī jān par khel kar maidān-e-jaṅg meṅ ā gae.

19bādshāh āe aur laṛe, kan’ān ke bādshāh majiddo nadī par tānak ke pās isrāīl se laṛe. lekin vahāṅ se vah chāṅdī kā lūṭā huā māl vāpas na lāe.

20āsmān se sitāroṅ ne sīsrā par hamlā kiyā, apnī āsmānī rāhoṅ ko chhoṛ kar vah us se aur us kī qaum se laṛne āe.

21qaison nadī unheṅ uṛā le gaī, vah nadī jo qadīm zamāne se bahatī hai. ai merī jān, mazbūtī se āge chaltī jā!

22us vaqt ṭāpoṅ kā baṛā shor sunāī diyā. dushman ke zabardast ghoṛe sarpaṭ dauṛ rahe the.

23rabb ke farishte ne kahā, “mīroz shahar par lānat karo, us ke bāshindoṅ par ḵẖūb lānat karo! kyūṅki vah rabb kī madad karne na āe, vah sūrmāoṅ ke ḵẖilāf rabb kī madad karne na āe.”

24hibar qīnī kī bīvī mubārak hai! ḵẖaimoṅ meṅ rahane vālī aurtoṅ meṅ se vah sab se mubārak hai!

25jab sīsrā ne pānī māṅgā to yāel ne use dūdh pilāyā. shāndār piyāle meṅ lassī ḍāl kar vah use us ke pās lāī.

26lekin phir us ne apne hāth se meḵẖ aur apne dahane hāth se mazdūroṅ kā hathoṛā pakaṛ kar sīsrā kā sar phoṛ diyā, us kī khopṛī ṭukṛe ṭukṛe karke us kī kanapṭī ko chhed diyā.

27us ke pāoṅ meṅ vah taṛap uṭhā. vah gir kar vahīṅ paṛā rahā. hāṅ, vah us ke pāoṅ meṅ gir kar halāk huā.

28sīsrā kī māṅ ne khiṛkī meṅ se jhāṅkā aur darīche meṅ se dekhtī dekhtī rotī rahī, “us ke rath ke pahuṅchne meṅ itnī der kyūṅ ho rahī hai? rathoṅ kī āvāz ab tak kyūṅ sunāī nahīṅ de rahī?”

29us kī dānishmand ḵẖavātīn use tasallī detī haiṅ aur vah ḵẖud un kī bāt duharātī hai, 30“vah lūṭā huā māl āpas meṅ bāṅṭ rahe hoṅge. har mard ke liye ek do laṛkiyāṅ aur sīsrā ke liye raṅgdār libās hogā. hāṅ, vah raṅgdār libās aur merī gardan ko sajāne ke liye do nafīs raṅgdār kapṛe lā rahe hoṅge.”

31ai rabb, tere tamām dushman sīsrā kī tarah halāk ho jāeṅ! lekin jo tujh se piyār karte haiṅ vah pūre zor se tulū hone vāle sūraj kī mānind hoṅ.”

baraq kī is fatah ke bād isrāīl meṅ 40 sāl amn-o-amān qāim rahā.