Rūt 2

rūt kī boaz se mulāqāt

1bait-laham meṅ naomī ke marhūm shauhar kā rishtedār rahatā thā jis kā nām boaz thā. vah asar-o-rasūḵẖ rakhtā thā, aur us kī zamīneṅ thīṅ.

2ek din rūt ne apnī sās se kahā, “maiṅ khetoṅ meṅ jā kar fasal kī kaṭāī se bachī huī bāleṅ chun lūṅ. koī na koī to mujhe is kī ijāzat degā.” naomī ne javāb diyā, “ṭhīk hai beṭī, jāeṅ.” 3rūt kisī khet meṅ gaī aur mazdūroṅ ke pīchhe pīchhe chaltī huī bachī huī bāleṅ chunne lagī. use mālūm na thā ki khet kā mālik susar kā rishtedār boaz hai.

4itne meṅ boaz bait-laham se pahuṅchā. us ne apne mazdūroṅ se kahā, “rabb āp ke sāth ho.” unhoṅ ne javāb diyā, “aur rabb āp ko bhī barkat de!” 5phir boaz ne mazdūroṅ ke iṅchārj se pūchhā, “us javān aurat kā mālik kaun hai?” 6ādmī ne javāb diyā, “yah moābī aurat naomī ke sāth mulk-e-moāb se āī hai. 7is ne mujh se mazdūroṅ ke pīchhe chal kar bachī huī bāleṅ chunne kī ijāzat lī. yah thoṛī der jhoṁpṛī ke sāy meṅ ārām karne ke sivā subah se le kar ab tak kām meṅ lagī rahī hai.”

8yah sun kar boaz ne rūt se bāt kī, “beṭī, merī bāt suneṅ! kisī aur khet meṅ bachī huī bāleṅ chunne ke liye na jāeṅ balki yahīṅ merī naukrāniyoṅ ke sāth raheṅ. 9khet ke us hisse par dhyān deṅ jahāṅ fasal kī kaṭāī ho rahī hai aur naukrāniyoṅ ke pīchhe pīchhe chaltī raheṅ. maiṅ ne ādmiyoṅ ko āp ko chheṛne se manā kiyā hai. jab bhī āp ko piyās lage to un bartanoṅ se pānī pīnā jo ādmiyoṅ ne kueṅ se bhar rakhe haiṅ.”

10rūt muṅh ke bal jhuk gaī aur bolī, “maiṅ is lāiq nahīṅ ki āp mujh par itnī meharbānī kareṅ. maiṅ to pardesī hūṅ. āp kyūṅ merī qadar karte haiṅ?” 11boaz ne javāb diyā, “mujhe vah kuchh batāyā gayā hai jo āp ne apne shauhar kī vafāt se le kar āj tak apnī sās ke liye kiyā hai. āp apne māṅ-bāp aur apne vatan ko chhoṛ kar ek qaum meṅ basne āī haiṅ jise pahale se nahīṅ jāntī thīṅ. 12āp rabb isrāīl ke ḵẖudā ke paroṅ tale panāh lene āī haiṅ. ab vah āp ko āp kī nekī kā pūrā ajr de.” 13rūt ne kahā, “mere āqā, allāh kare ki maiṅ āindā bhī āp kī manzūr-e-nazar rahūṅ. go maiṅ āp kī naukrāniyoṅ kī haisiyat bhī nahīṅ rakhtī to bhī āp ne mujh se shafqat bharī bāteṅ karke mujhe tasallī dī hai.”

14khāne ke vaqt boaz ne rūt ko bulā kar kahā, “idhar ā kar roṭī khāeṅ aur apnā navālāsihashāḵẖā sirke meṅ ḍubo deṅ.” rūt us ke mazdūroṅ ke sāth baiṭh gaī, aur boaz ne use jau ke bhune hue dāne de die. rūt ne jī bhar kar khānā khāyā. phir bhī kuchh bach gayā. 15jab vah kām jārī rakhne ke liye khaṛī huī to boaz ne hukm diyā, “use pūloṅ ke darmiyān bhī bāleṅ jamā karne do, aur agar vah aisā kare to us kī beizzatī mat karnā. 16na sirf yah balki kām karte vaqt idhar udhar pūloṅ kī kuchh bāleṅ zamīn par girne do. jab vah unheṅ jamā karne āe to use mat jhiṛaknā!”

17rūt ne khet meṅ shām tak kām jārī rakhā. jab us ne bāloṅ ko kūṭ liyā to dānoṅ ke taqrīban 13 kilogrām nikle. 18phir vah sab kuchh uṭhā kar apne ghar vāpas le āī aur sās ko dikhāyā. sāth sāth us ne use vah bhune hue dāne bhī die jo dopahar ke khāne se bach gae the. 19naomī ne pūchhā, “āp ne yah sab kuchh kahāṅ se jamā kiyā? batāeṅ, āp kahāṅ thīṅ? allāh use barkat de jis ne āp kī itnī qadar kī hai!”

rūt ne kahā, “jis ādmī ke khet meṅ maiṅ ne āj kām kiyā us kā nām boaz hai.” 20naomī pukār uṭhī, “rabb use barkat de! vah to hamārā qarībī rishtedār hai, aur sharīat ke mutābiq us kā haq hai ki vah hamārī madad kare. ab mujhe mālūm huā hai ki allāh ham par aur hamāre marhūm shauharoṅ par raham karne se bāz nahīṅ āyā!”

21rūt bolī, “us ne mujh se yah bhī kahā ki kahīṅ aur na jānā balki kaṭāī ke iḵẖtitām tak mere mazdūroṅ ke pīchhe pīchhe bāleṅ jamā karnā.”

22naomī ne javāb meṅ kahā, “bahut acchhā. beṭī, aisā hī kareṅ. us kī naukrāniyoṅ ke sāth rahane kā yah fāidā hai ki āp mahfūz raheṅgī. kisī aur ke khet meṅ jāeṅ to ho saktā hai ki koī āp ko taṅg kare.”

23chunāṅche rūt jau aur gandum kī kaṭāī ke pūre mausam meṅ boaz kī naukrāniyoṅ ke pās jātī aur bachī huī bāleṅ chuntī. shām ko vah apnī sās ke ghar vāpas chalī jātī thī.